Thursday, December 31, 2009

ek aur naya saal

आज रात १२ बजते ही एक और नया साल आ जायेगा। देखा जाये तो सिर्फ तारीखे बदल जाएँगी दिन वही रहेंगे । कुछ बदलेगा तो आज रात लोगों के मिलने का अंदाज़ । जशन में डूबे लोग पूरी रात मौज मस्ती करेंगे । नए साल का बेसब्री से इंतज़ार करेंगे। १२ बजते ही धूम धड़ाके के साथ मस्ती में डूबे लोग, फिर सुबह का इंतजार करेंगे। ऑफिस जाने वाले लोग ऑफिस जायेंगे। घरेलु औरतेअपने दिन की शुरुआत पुराने तरीके से शुरू करते हुए ही नाश्ते की तय्यारी में जुट जाएँगी । बच्चो के स्कूलों की छुट्टी पड़ी हुई है तो वोह आराम से उठेंगे और युवा बाहर अपनी सोशल नेटवर्किंग में जुट जायेंगे। उस के बाद धीरे धीरे सब अपने ढर्रे में लौट जायेंगे। किसने ३१ की रात क्या किया बस यादों में ही रह जायेगा । लोग नए साल पर नए नए प्रण करते हैं । लेकिन अगर सर्वे किया जाये तो बहुत कम लोग मिलेंगे जो अपने प्रण को पूरा करते होंगे। एक रात में प्रण करके उसी समय भूल जाने वाले आखिर प्रण क्यों करते हैं ? अगर प्रण करना ही है तो एक दिन का करो और उसे पूरा करने के लिए एक दिन लो। अगर पूरा हो जाये तो उसे दुसरे दिन फिर करने की कोशिश करो । ऐसा करके शायद हम अपना प्रण पूरा कर सके । और फिर किसी को किसी खास दिन का इंतजार नहीं करना पड़ेगा । हर दिन नया साल होगा। हर शुरुआत नयी होगी। फिर हर जशन नया होगा। और उस जशन का मज़ा ही कुछ और ही होगा।

Sunday, November 1, 2009

woh ek msg

Time- 01:42:06 AM
1st November start ho gayi thi....raat ko achanak mere mobile ki msg beep ne mujhe neend se jaga diya...maine woh msg pada toh do minute soch me pad gaya... msg mere us dost, us bhai ka tha jiske saath maine Delhi me taqriban 3 saal lamba samay gujara tha. Hum room mate the....lekin ab mera aur uska rishta bhaiyon se bhi zyada hai... Aj main Dehradun me hoon aur woh Delhi me. Abhi ek mahina bhi nahi beeta hai mujhe Delhi chode hue........lekin aisa lagta hai ki ek lamba waqt gujar gaya hain..
Uss msg ne mujhe andar tak hila k rakh diya tha. Usme likha tha ki usse neend nahi aa rahi hai aur woh mujhe bahut miss kar raha hai...ek room me rehte hue bhi hum aksar mil nahi pate the...hafte hafte tak baante nahi hoti thi...aur aj bhi bed khali pada jis par main baith kar usse lambi lambi gappe mara kara tha....apne sukh dukh baata karta tha...kal woh office se ghar pahucha toh pata nahi use kya hua ki usse meri itni yaad ayi ki usne mujhe aisa msg kiya.....main is sochme tha ki usse msg se reply karoon ya phone karoon.....maine usse phone kiya uss se 3 minute baat ki...meri aakhe bhar ayi usse baat karte karte...phir usne kahan ki raat bahut ho gayi hai, so ja kal baaat karenge.. kisi k liye shayad ye mamooli baat ho lekin mere liye jeevan ki sabse keemti aur yaadgar lamha tha.
Bahut saal pehle maine kahin pada tha - Insaan ka jeevan Phoolon ki tarah hona chahiye ...jeete jee bhi khushboo failaye aur marne k baad bhi...... aj mujhe laga ki shayad main bhi logon k dilon me woh chaap chodne me safal raha hoon ki woh mujhe, mere jaane k baad bhi yaad karte hain....mujhe miss karte hain......